Quantcast
Channel: Islamic Lyrics
Viewing all 112 articles
Browse latest View live

The Passing Traveller

$
0
0

The Passing Traveller Lyrics


WRITTEN BY: Zain Bhikha

I wanna go where I’ll be happy
Gardens where rivers flow, eternally
I wanna go, see Allah’s promises
To those believers who walked His path

I’m but a stranger in a hostile world
And I cannot savour, this lie no more

Chorus:
يَا اللَّهُ يَا رَّحْمٰنُ يَا رَّحِيمُ يَا مَلِكُ يَا قُدُّوسُ يَا سَلَامُ يَا اللَّهُ
Guide me to Jannah

I wanna go be with Allah’s beloved
Sit in his company, see him smile
I wanna go drink from the well of kawthar
The water for the Purest
Promised to Muḥammad (pbuh)

I’m but a traveller on a hot summer’s day
Resting under a tree, then went on my way

I wanna go see my mother and father
Embrace them in my arms, whisper I love you so
I wanna go see others I have lost
Hold them oh so close, say I missed you so

I came in this world, just passing through
And I wanna travel just like المُؤْمِنُ
Chorus:
يَا عَزِيزُ يَا جَبَّارُ يَا خَالِقُ يَا بَارِٸُ يَا غَفَّارُ يَا قَهَّارُ يَا اللهُ
Guide me to Jannah

I wanna go see our father Ādam
His blessed brothers, all of the prophets honored
I wanna go see the righteous companions
Those who the prophet loved, the best generation

I’m but a stranger in this hostile world
And I cannot savour, this lie no more

I wanna go finally be at peace
No worries, no old age
Blissful eternity

I wanna go see my palace in Jannah
Shining silk, silver, gold
So beautiful forever

I’m but a traveller taking rest for a while
Soon will come a time, I’ll have to say goodbye

Chorus:
يَا سَمِيْعُ يَا بَصِيْرُ يَا خَبِيْرُ يَا عَظِيْمُ يَا غَفُوْرُ يَا شَكُوْرُ يَا اللَّهُ
Guide me to Jannah

I wanna go for the ultimate blessing
Be with الرَّحْمٰنُ
اللَّهُ السَّلَامُ


Allah

$
0
0

Allah Lyrics | الله Lyrics

By: Shpend Limani & Selma Bekteshi
Languages: English & Albanian

Allah
You are the one i trust
You are the one I admire
No doubt you are the One
Ya Rrahman Ya Rrahim
You are the One who makes me happy
You are the one who recovers e very pain
When I deviate You guide me
Allah
You are supreme my Lord
The glory belongs to you only
You are the creator of the universe
Ya Rrahman Ya Rrahmin
My God You are the greatest
The praise belongs to You
For every blessing You have given us

REF:
-I’ve got the most precious treasure
The Qur’an is my guidance
Allah Elhamdulilah
I will not abandon your way
As long as i’ll live till my last breath
InshaAllah
Allah Allah Allah Allah
There is no god but You
La ilahe il-la Allah
Allah Allah Allah Allah
Ther is no god but You
La ilahe il-la Allah

Khuloos Ki Roshnai Lay Ker

$
0
0

Khuloos Ki Roshnai Lay Ker Lyrics

Saba ka seena banay safeena
Zara tabiyat rawan dawan ho
Durood ki anjuman sajaoon
Dahn mein Jibrail ki zubaan ho

Khayal ho salsbeel jaisa
Jal’oo mein lafzoon ka karwan ho.

Kahin Qabila ho Auliya ka,
Kahin pay Behlol ki dukaan ho.

Mein apni sochoon ko aab e Kausar mein ghusl de doon to imtihaan ho.
Agar yeh sab kuch milay to madh e Shahenshah e Mashriqain likhoon.

Haya ki takhti pay apni palkoon say,
Phir mein Lafz e Hussain likhoon

——– ————- ——–


Khuloos ki roshnai lay ker, ba deeda e tar Hussain likhna,
Tum aisa karna, kitab e dil kay warq warq per Hussain likhna.

Tumharay tareek manzroon mein, ujalay phootain gay noor ban kar,
Tum aisa karna, kay apnay ghar mein, durood parh ker Hussain likhna.

Hussain likh ker, phir isko likhna, phir isko likh kar tum aisa karna,
Jo aaj tak bhi likha hai tum nay, tum uska mehwar Hussain likhna.

Woh barchiyaan woh chamaktay khanjar, woh tapta sehra pukartay hain,
Tum aisa kerna, tum aisa kerna, ke Karbala ke badan per ja ker Hussain likhna.

Agar kitabat ka shouq ho jo tum ko, kitab e SABR O RAZA mein [Your Name],
Jahan shaheedon ka naam likho, to sab say upper “HUSSAIN” likhna.

Tum aisa karna, Hussain likhna, Hussain likhna!

Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho

$
0
0

Hajiyo Aao Shahenshah Ka Roza Dekho Lyrics in Urdu, Roman Urdu & English Translation

Verse 1:

Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho
kábah to dekh chukey kábey ka kábah dekho
O Haji, come! see the garden of the King [the mausolem of Rasulallah Sallallahu ‘Alayhi wa Sallam]
You have seen the Kábah; now see the locus of the Kábah.

حاجیو آؤ شہنشاہ کا روضہ دیکھو
کعبہ تو دیکھ چکے کعبے کا کعبہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 1

Verse 2:

rukn-e-shāmī sey miTee wahshat e shām e ghurbat
ab madīney ko chalo subĥ-e-dilāra dekho
The evening of your being a stranger ended at the Syrian Corner [Rukn-e-Shami];
Come, let’s go to Madīnah to see an enchanted morning.

رکن شامی سے مٹی وحشت شام غربت
اب مدینہ کو چلو صبح دلآرا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 2

Verse 3:

aab-e-zamzam to piyaa khuub bujhāyeeN pyaaseN
aao juud-e-shah-e-kawsar ka bhi dariyaa dekho
You have quenched your thirst by drinking water from Zamzam;
Come, see the sea of generosity of the Prince of Kawthar.

آب زم زم تو پیا خوب بجھائیں پیاسیں
آؤ جود شہ کوثر کا بھی دریا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 3

Verse 4:

zeyr-e-mīzaab miley khuub karam key cheeN.Tey
abr-e-raĥmat ka yahaaN zor barasnaa dekho
Many droplets of grace were found under the Golden Ditch [Mīzāb]
Come here; see a downpour in torrents from the Clouds of Mercy.

زیر میزاب ملے خوب کرم کے چھینٹے
ابر رحمت کا یہاں روز برسنا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 4

Verse 5:

dhoom dekhi hai dar-e-kábah pey beytāboN kee
un key mushtāqoN meiN ĥasrat ka taDapna dekho
You have seen an impatient crowd throng at the door of the Kábah
Come here; see the passion and anguish of those who yearn for him.

دھوم دیکھی ہے در کعبہ پہ بیتابوں کی
ان کے مشتاقوں میں حسرت کا تڑپنا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 5

Verse 6:

misl-e-parwaana phira kartey they jis shamáh key gird
apni us shamáh ko parwāna yahaaN kaa dekho
The Kábah, the lamp you circled in the manner of a firefly;
Come, see that light of yours [Kábah] sacrifice itself at his altar.

مثل پروانہ پھرا کرتے تھے جس شمع کے گرد
اپنی اس شمع کو پروانہ یہاں کا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 6

Verse 7:

khuub aankhoN se lagaaya hai ghilaaf-e-kábah
qaşr-e-mahboob key pardey ka bhi jalwaa dekho
You have touched the drapes of Kábah [Ghilaf] with your eyes [in reverence];
Come, behold the luminous curtains that adorn the palace of the Beloved.

خوب آنکھو سے لگایا ہے غلاف کعبہ
قصر محبوب کے پردے کا بھی جلوہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 7

Verse 8:

waaN muţeeyoN ka jigar khawf sey paani paaya
yaaN siyah kaaroN ka daaman pey machalna dekho
The hearts of the pious trembled with fear [of the Almighty] in Makkah;
Come, see the sinners throng the beloved’s place, eagerly awaiting pardon.

واں مطیعوں کا جگر خوف سے پانی پایا
یاں سیہ کاروں کا دامن پہ مچلنا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 8

Verse 9:

awwalīN khaana-e-Ĥaq ki to ziyaayeN dekhīN
aakhirīN bayt-e-nabiy ka bhi tajallā dekho
You have seen the rays of light emanating from the House of Allāh as the Haj began;
And as you end, come, see the beams of light radiating from the house of Rasulallah Sallallahu ‘Alayhi wa Sallam.

اولین خانہء حق کی ضیائیں دیکھیں
آخریں بیت نبی کا بھی تجلا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 9

Verse 10:

zeenat-e-kábah meiN tha laakh árūsoN ka banaaw
jalwa farmaa yahaN kawnayn ka duulhaa dekho
The Kábah was bedecked in the splendor of a hundred thousand brides;
Come see, the majesty of the resting place of the Prince of the Universe!

زینت کعبہ میں تھا لاکھ عروسوں کا بناؤ
جلوہ فرما یہاں کونین کا دولھا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 10

Verse 11:

ayman-e-ţur ka tha rukn-e-yamāni meiN furogh
shúla-e-ţur yahan anjuman aaraa dekho
The Yemeni Corner [Rukn e Yamani] appeared as the valley of Ayman in the mountains of Tur;
Come, see the light which irradiated the Mountain of Tur shine here.

ایمن طور کا تھا رکن یمانی میں فروغ
شعلہء طور یہاں انجمن آرا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 11

Verse 12:

mihr-e-mādar ka mazaa deyti thi aaghosh-e-ĥaţeem
jin pe maaN baap fidaa yaaN karam unkaa dekho
The arms of the Hateem had the warmth of a mother’s lap;
Come here; see the benevolence of the Prince, on whose feet our parents be sacrificed.

مہر مادر کا مزہ دیتی ہے آغوش حطیم
جن پہ ماں باپ فدا یاں کرم ان کا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 12

Verse 13:

árz-e-ĥājat mein rahaa kábah kafeel-ul-ĥujjāj
aaO ab daad rasī-e-shah-e-ţaybah dekho
The Kábah was the guarantor for the acceptance of the prayers of the Hajīs;
Come see, the deliverance and bounty of the Prince of Taybah

عرض حاجت میں رہا کعبہ کفیل الحجاج
آؤ اب داد رسیء شہ طیبہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 13

Verse 14:

dho chukaa zulmat-e-dil bausay-e-sang-e-aswad
khaak bausīy-e-madīnah ka bhi rutbaa dekho
The darkness and evil in the hearts was washed away by kissing the Black Stone [ĥajar aswad];
Come see the exalted station of kissing the dust of Madīnah.

دھو چکا ظلمت دل بوسہء سنگ اسود
خاک بوسیء مدینہ کا بھی رتبہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 14

Verse 15:

kar chukī rifát-e-kábah pey nazar parwaazeN
Topi ab thaam key khaak-e-dar-e-waala dekho
Your sights soared and beheld the Kábah’s summit;
Hold your headgear as you look at the dust of my beloved’s door.

کر چکی رفعت کعبہ پر نظر پروازیں
ٹوپی اب تھام کے خاک در والا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 15

Verse 16:

be niyaazi sey wahaan kaaNmpti paayi ţāát
josh-e-raĥmat pey yahaaN naaz gunah ka dekho
Piety shivered with fear of the Sovereign’s Awe;
See the Sin relieved and celebrate at the deluge of Mercy.

بے نیازی سے وہاں کانپتی پائی طاعت
جوش رحمت پہ یہاں ناز گنہ کا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 16

Verse 17:

jumáh-e-makkah tha íyd ahl-e-íbādat key liye
mujrimO! aaO yahaaN íyd-e-dushumba dekho
The Friday in Makkah was a celebration [Eyd] of the pious worshipper;
O Sinners! Come celebrate the festival of Monday here.

جمعہ مکہ تھا عید اہل عبادت کے لیے
مجرمو آؤ یہاں عید دو شنبہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 17

Verse 18:

multazam sey to gale lag key nikaaley armaaN
adab-O-shauq ka yaaN baaham ulajhnaa dekho
Ye fulfilled your long held desires by embracing the Multazam [threshold of the door to Kábah]
Come, see the conflict; of both Reverence and Yearning wrestle at his threshold.

ملتزم سے تو گلے لگ کے نکالے ارماں
ادب و شوق کا یاں باہم الجھنا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 18

Verse 19:

khuub masáā meiN ba ummīd-e-şafā dauD liye
rah-e-janaaN ki şafaa ka bhi tamāshā dekho
You ran between Şafā and Marwā in the hope of being cleansed;
Come, see the scene on the cleansing path that leads to the beloved’s place. ŞallAllāhu álayhi wa sallam.

خوب مسعی میں باامید صفا دوڑ لیے
رہ جاناں کی صفا کا بھی تماشا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 19

Verse 20:

raqs-e-bismil ki bahaareN to minaa mein dekhīN
dil-e-khuuN naaba fashan ka bhi taDapna dekho
You have seen the waltz of the writhing Bismil [the slaughtered animal] in Mina;
Come here; see the bleeding hearts writhe at the beloved’s doorstep.

رقص بسمل کی بہاریں تو منی میں دیکھیں
دل خوں نابہ فشاں کا بھی پڑپنا دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 20

Verse 21:

ghaur se sun to razā kábey sey aati hai şadaa
meri aankhoN sey merey pyaare ka rozah dekho!
Listen, Raza! Listen to the Kábah with rapt attention as it says:
Come, see the my beloved’s garden with my eyes

غور سے سن تو رضا کعبہ سے آتی ہے صدا
میری آنکھوں سے میرے پیارے کا روضہ دیکھو
Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Verse 21

Urdu Written Lyrics:

Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Part 1 of 2 Hajio Aao Shahenshah Ka Roza Dekho - Part 2 of 2

Shine

$
0
0

Shine Lyrics

They filled my path full of doubt
And wouldn’t hear me out
But still I chased my dreams
They told me to quit
But my heart could not resist
And from the darkness came a light

I will shine on tomorrow
Light the way for all to follow
From the darkness I will shine


Learning from the past I tried
To stare the world in the eyes
Find strength to pull me through
I saw through my tests and trials
A road that ran a thousand miles
At the end was only truth

I will shine on tomorrow
Light the way for all to follow
In the darkness I will shine
I will shine on forever
Take my chance now or never
In the darkness I will shine

I know I can if I believe
And I will choose my destiny
We’ll make the change we want to see
I know we can if we believe
And we will choose our destiny
I know I can if I believe

Shine Lyrics & Video Information:
‘Shine’ is a dedication to the legacy of the 11th century scientist Ibn Al-Haytham. ‘Shine’ features on Sami Yusuf’s music score for Ahmed Salim’s short film “1001 Inventions and the World of Ibn Al-Haytham” starring Omar Sharif, his final lead performance before his death in July 2015.

‘Shine’ supports a global Ibn Al-Haytham awareness campaign from 1001 Inventions in partnership with UNESCO that is part of United Nations proclaimed ‘International Year of Light’.

Credits:
Performed, composed and arranged by Sami Yusuf
Featuring Omar Sharif
‘Shine’ Words by Sana Al-Yemen & Will Knox
Based on film footage released under license from 1001 Inventions Ltd
Recorded at Andante Studios
Mixed by Vishnu Rajan & Barron @ Andante Studios
Mastered by Vishnu Rajan @ Andante Studios
Video editing by Omar Habib @ Andante Studios
Published by Resonance Music FZE Administered by Fairwood Music (UK) Ltd for the World

Salam Alaikum

$
0
0

Salam Alaikum Lyrics

By: Harris J

Salam Alaikum Lyrics Translations:
Salam Alaikum (Bahasa Indonesia Translation)
Salam Alaikum (Arabic Translation)

You can try and turn off the sun
I’m still going to shine away, yeah
And tell everyone
We’re having some fun today
We can go wherever you want to
And do whatever you like
Let’s just have a real good time

CHORUS:
Assalamu Alaikum, Alaikum yeah!
(Peace be upon you)


I just want to spread love and peace
And all of my happiness, yeah
To everyone I that meet
‘Cause I’m feeling spectacular
I love it when we love one another
Give thanks everyday
For this life, living with a smile on our face

CHORUS

Spread peace on the earth
Cherish the love that is around us
Spread peace on the earth
Treasure the love, let it surround us
Always be kind, always remind one another
Peace on the earth everyday

CHORUS

Assalamu Alaikum, hey!
Assalamu Alaikum, hey!
Assalamu Alaikum
Wa Alaikum Assalam

Spread peace on the earth
Cherish the love that is around us
Spread peace on the earth every day

Directed by Mike Harris
Written by Paddy Dalton, Moh Denebi, Maher Zain & Bara Kherigi

You Are My Life

$
0
0

You Are My Life Lyrics

By: Harris J

You Are My Life Lyrics Translations:
You Are My Life (Arabic Translation)
You Are My Life (Bahasa Indonesia Translation)

O Allah!
You’re the light that shines above
You’re the reason I never give up
You’re The One I try for, live my life for
Give up all I have
You’re the melody, You’re the key
All the inspiration I need
And when times get tough
I know You’ll stand by me

You are the love I need
The One who is guiding me
And You know my destiny
For You are The Light


CHORUS:
And You are my life
Oh oh oh

O Allah!
Your words light up my heart
This connection I’ve felt from the start
I’ll never lose sight of my dreams
Without You where would I be?
And although I feel like I’m
A million miles away from home
I can lose all that I have and when I feel the pain
I know that I can count on You

You are the love I need
The One who is guiding me
And You know my destiny
For You are The Light

CHORUS:

When I reach the final chapter
I know it’s only You that matters, oh
So I give it my all
‘Cause I’ll stand alone that day

CHORUS

And You are my life

Written by: Olmi, Twist & Stanbury
Arrangement: Maher Zain
Choir arrangement: Jeremy Karodia
Video by Osama Alsaadi

Jab Aaye Jahan Main Muhammad

$
0
0

Jab Aaye Jahan Main Muhammad Lyrics

Jab aaye jahan mein Muhammad, Rehmat ki badariya chayi,
Butt keh kay giray munn kay bal, Aaqa ki sawari aayi!

Tera noor hai noor e Illahi, kabzay mein Khuda ki khudayi,
Nahin itni kalam mein taqat, likhay meray Nabi ki barai.
Yeh hain dono jahan kay sarwar, boli Halima dayi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Zulmat ke chatay hain badal, rehmat ki huyi hai hal chal,
Jab aaye kamaliya wale, rehmat huye hain ujalay,
Aaqa nay mitayi jahan say, Abu Jahal ki burayi.


Jab aaye jahan main Muhammad…

Qadmoon main hai unkay Janat, yeh hai meray Nabi ki azmat,
Yeh baat hai bando haqeeqat, Aadam ki huyi hai shafa’at,
Jab aaya khiyal e Muhammad, Aadam nay di hai duhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Batlao gay jo sach mujhko, manoon ga Nabi jab tumko,
Muthi main batao kiya hai, yeh pucha Shah e Umam ko,
Kankar nay parha jab kalma, Abu Jahel ne moun ki khayi.

Jab aaye jahan main Muhammad…

Abu Bakr o Umar aur Farooq, Usman o Ghani aur Haider,
Chamkaya inka muqadar, hai haath Nabi ka sar par,
Sarkar nay dono jahan mein, azmat charoon ki barhai.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Hai saath Nabi kay rehmat, Allah ko hai unsay chahat,
Nabiyoon ki karein woh imamat, hai pusht pay mohray nabuwa’at,
Mehboob hain yeh to Khuda kay, Quran nay di hai gawahi.

Jab aaye jahan mein Muhammad…

Bin dekhay RasoolAllah ko, na ishq ka daman choray,
Aik dant Nabi ka toota, sab dant Owais nay toray,
Aie [Qatil] na hum nay dekha, aisa koi shedai.

Ya Habibi, Ya Muhammad, Ya Habibi, Ya Muhammad…


Inna Fil Jannati

$
0
0

Inna Fil Jannati Lyrics

By: Sami Yusuf

Inna Fil jannati nahran min laban
Surely, a river of milk flows in heaven,

Li `Aliyyin wa Husainin wa Hasan
For Ali, Hussain, and Hasan.

Kullu man kana muhibban lahumu
And all those who have love for these three,

Yadkhulul jannata min ghairi hazan
shall enter the garden without any misery.


Hubbu ahlil bayti fardun `indana
For us, love of the Prophet’s family is an obligation,

Wa bi hathal hubbi la nakhshal mihan
And with a love like that, we fear no tribulation.

Words & Music: Traditional (most likely of Moroccan-Andalusian origin)
Performed and arranged by Sami Yusuf
Recorded at Andante Studios
Mixed & Mastered by Vishnu Rajan @ Andante Studios
Video editing and post production @ Andante Studios
Aerials by Aerovista – Aerial Film Productions Munich
Cinematographer: Thomas Markert
Pilot: Dr. Sven Schmid
Published by Resonance Music FZE Administered by Fairwood Music (UK) Ltd for the World

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale

$
0
0

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale Lyrics


Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale

Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Wale

Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun
Yun Damakte Hain Damakne Wale

Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz
Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale

Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain
Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale

Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahin Haath Jhatakne Wale

Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna
Phalte Hain Paude Lachakne Wale

Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain
Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale

Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao
Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale

Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe
Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale

Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale

Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi
Kya Hansa Gunche Chatakne Wale

Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa
Aah! O Patte Khadakne Wale

Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha
Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale

Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal
Phoot Behte Hain Tapakne Wale

Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid
Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale

Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza
Paanch Fawware Chhalakne Wale

Abr e Karam Gesoo e Muhammad

$
0
0

Abr e Karam Gaisoo e Muhammad Lyrics


Abr e Karam Gesoo E Muhammad
Donu Haram Abroo E Muhammad

Sab ki Nazar hay Soo E Ka’bah
Ka’bah takay hay Roo E Muhammad

Ka’bay ko kis ne banaya Qiblah
Ka’bay ka Ka’bah Roo E Muhammad

Sajda E Sar hay Soo E Ka’bah
Sajda-e-Dil hay Soo E Muhammad

Saaray Chaman mein kis ki Khushboo
Khushboo hay Khushboo E Muhammad

Kis ki Chamak hay Paykar E Gul mein
Gul mein Khila hay Roo E Muhammad

Dhaaray chalay har Ungli se Unki
Dekho wo Nikli Joo E Muhammad

Sab se Anokha Moo E Muhammad
Sab se Niraali Koo E Muhammad

Kis ka Moo deta hay Gawahi
Moo E Muhammad Moo E Muhammad

Zinda hay Wallah Zinda hay Wallah
Jaan E Do Aalam Roo E Muhammad

Rashk E Tayba kia hay dikhaun?
Dekho Qad E Dil Joo E Muhammad

Bheeni Bheeni Khushboo Lahki
Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

ye raah Mahki woh raah mahki
Khul gaey jab Gesoo E Muhammad

Akhtar E Khasta Chal de Jinaan ko
Baag E Jinaan hay Koo E Muhammad

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya

$
0
0

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya Lyrics


Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
Yusuf Ko Tera Taalib E Deedar Banaya

Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir Tumhein Sarkaar Banaya

Kunji Tumhein Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya

Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhein Haami O Ghumkhwaar Banaya

Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hain Bhikaari
Sarkaar Banaya Tumhein Sarkaar Banaya

Lillah Karam Mere Bhi Veerana E Dil Par
Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya

Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya

Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya

Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya

Har Baat Bad A’amaliyon Se Maine Bigaadi
Aur Tum Ne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya

Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya

Ajab Rang Par Hai Bahare Madina

$
0
0

Ajab Rang Par Hai Bahare Madina Lyrics


Ajab Rang Par Hain Bahaar E Madina
Ke Sab Jannatein Hain Nisaar E Madina

Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina
Sarkaar Ka Madina Sarkaar Ka Madina

Khula Hain Sabhi Ke Liye Baab E Rehmat
Wahan Koi Rutbe Mein Adna Na Aali
Muraadon Se Daaman Nahi Koi Khaali
Qitare Lagaye Khade Hai Suwaali

Main Pehle Pehel Jab Madine Gaya Tha
To Thi Dil Ki Haalat Tadap Jaane Wali
Wo Darbaar Sach Much Mere Saamne Tha
Abhi Tak Tasavvur Tha Jiska Khayali

Main Ek Haath Se Dil Sambhale Hue Tha
To Thi Dusre Haath Me Thi Unki Jaali
Dua Ke Liye Haath Uthte To Kaise
Na Ye Haath Khaali Na Wo Haath Khaali

Madina Madina Humara Madina
Hume Jaan O Dil Se Hai Pyara Madina
Suhana Suhana Dilara Madina
Har Aashiq Ki Aankhon Ka Taara Madina

Pahado Pe Bhi Husn, Kaante Bhi Dilkush
Hain Qudrat Ne Kaise Sawaara(n) Madina
Khuda Gar Qayamat Mein Farmaye Maango
Lagayenge Deewane Naara Madina

Rage Ghul Ki Jab Naazuki Dekhta Hu
Mujhe Yaad Aate Hain Khaar E Madina
Mubarak Rahe Andalibo Tumhe Gull
Hume Gull Se Behtar Hain Kahaar E Madina

Rahe Unke Jalwe Base Unke Jalwe
Mera Dil Bane Yaadgaar E Madina
Murad E Dil Bul Bule Be Nawade
Khudaya Dikha De Bahaar E Madina

Bheeni Suhani Subhu Mein Thankdak Jigar Ki Hai

$
0
0

Bheeni Suhani Subhu Mein Thankdak Jigar Ki Hai Lyrics


Bheeni Suhani Sub’h Mei Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaa(n) Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai.

Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai.

Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai.

Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai.

Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai.

Kalik Jabee(n) Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai.

Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai.

Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai.

Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai.

Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai.

Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaa(n) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai.

Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
MarMar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai.

Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai.

Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai.

Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai.

Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai.

Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai.

Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai

Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai.

Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai.

Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai.

Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal Parinde ko Par ki Hai.

Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai

Ye Badliya(n) Na ho To Karooro(n) ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai.

Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai.

Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai.

Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai.

Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai.

Hai Chatro Takht Saya-e Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai.

Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai,
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai.

Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo mei Gadhayaane Dar Ki Hai.

Jaaru-kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai.

Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai.

Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai.

Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz
Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai.

Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai.

Kaba Dhulhan Hai Turbate At-har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai.

Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai.

Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai.

Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai.

Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai.

Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai.

Roomi Ghulam Din Habshi Baandiya(n) Shab’e
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai.

Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai.

Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai.

Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai.

Amber Zamee(n), Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai.

Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai.

Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na LAA Hai Na Hajat Agar Ki Hai.

Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai.

Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai.

Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai.

Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai.

Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar ki Hai.

Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai.

Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai.

Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai.

Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai.

Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai.

Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai.

Mai khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai.

Mangta Ka Haath Uth-te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai.

Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa
Ye Aabru Raza Tere Damaan e Tar ki Hai

Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai

$
0
0

Tumhare Sajde Ko Kaba Salam Kehta Hai Lyrics


Tumhare Sajde Ko Kaaba Salaam Kehta Hai
Jalaal e quba e khazra salaam kehta hai.

Chaman Ka Harr Gul O Guncha Salaam Kehta Hai
Hussain Tum Ko Zamana Salaam Kehta Hai

Charaag Wa Masjid Wa Mimbar Salaam Kehte Hain
Nabi Rasool Payamber Salaam Kehte Hain

Ali Wa Fatima Shabbar Salaam Kehte Hain
Khuda Gawaah Ho Ke Nana Salaam Kehte Hai

Khuda Ki Raah Me Sara Ko Kata Diya Tumne
Nabi Ke Deen Pe Ghar Ko Luta Diya Tumne

Nishaan E Kufr Ko Yaksar Mita Diya Tumne
Tumhe Khuda Bhi Tumhara Salaam Kehta Hai

Tumhein Falak Ke Sitaare Salaam Kehte Hain
Tumhein Quraan Ke Paare Salaam Kehte Hain

Tumhein Haram Ke Minaare Salaam Kehte Hain
Imaam Tum Ko Madina Salaam Kehta Hai

Sana Tumhari Wazeefa Hai Mera Aaba-i
Tumhari Mad-h To Shewa Hai Mera Maulai

Bas Ek Nazar Ho Jo Mujh Par To Meri Ban Aayi
Tumhara Sayyid Shaida Salaam Kehta Hai


Mere Ghous Piya Jilani

$
0
0

Mere Ghous Piya Jilani Lyrics


Mere Ghous Piya Jeelani Hain Mahboob E Subhaani

Choot-ti Hain To Choote Duniya, Ghous Ka Daaman Na Chorenge
Apne Gale Mein Ghous Ka Patta, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Ghous Ke Darr Par Umar Guzari, Ghous Ke Darr Ke Hum Hain Bhikari
Iss Khoote Se Khud Ko Baandha, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Waliyo Ne Di Unko Salaami, Abdalo Ne Kee Hai Ghulami
Ooncha Rahega Unka Jhanda, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Ghous Ka Daaman Kaise Chore, Jism O Rooh Ka Naata Unse
Unse Thehra Deen Ka Rishta, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Unke Haath Me Haath Diya Hain, Khud Ko Ujagar Bech Diya Hain
Ab Na Kabhi Chorenge WALLAH, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Ghous E Paak Ke Chahne Walo, Saath Ubaid Ke Mil Ke Keh Do
Marte Damm Tak In-sha-Allah, Ghous Ka Daaman Na Chorenge

Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo

$
0
0

Shah e Wala Mujhe Taiba Bulalo Lyrics


Shah E Waala Mujhay Taibah Bulalo
Taibah Bula Lo Mujhe Taibah Bulalo
Devdhi Ka Apni Kutta Bana Lo
Qadmon Se Apne Mujh Ko Laga Lo

Sadqe Mein Sadqe Mein Sadqe Bula Lo
Furqat Ke Maare Ko Pyare Jhila Lo
Pyare Jhila Lo Mujhe Pyare Jhila Lo
Maula Jhila Lo Mujhe Aaqa Jhila Lo

Duniyan Ke Jhaghdo Se Yaksar Chhudaa Kar
Ghairon Ki Ulfat Ko Dil Se Mitaa Kar
Shah E Waala Mujhe Apna Bana Lo
Apna Bana Lo Mujhe Apna Bana Lo

Naikon Ke Sadqe Mein Hum Se Badon Ko
Zaaro Nazaaro Museebat Zadon Ko
Maula Nibhaa Lo Mere Maula Nibhaa Lo
Haan Haan Nibhalo Mere Maula Nibhaa Lo

Hotey Ho Tum Kyu Maayus O Muztar
Kis Waastey Ho Hairaan O Shashdar
Dukh Dard Walo Suno Dukh Dard Walo
Taibah Se Har Ek Apni Dawa Lo

Aankhon Mein Aao Dil Me Samaao
Parda Uthao Jalwa Dikhao
Hasrat Zadaa Ki Pyare Dua Lo
Hasrat Nikalo Meri Hasrat Nikalo

Dolat Hai Nayya Mori Bhavar Mein
Maula Tiraao Aike Nazar Mein
Moori Khabariya Morey Piya Lo
Moko Bachal Lo Piya Moko Bacha Lo

Taaib Hon Najdi Aaib Hon Najdi
Aur Ye Na Ho To Khaaib Hon Najdi
Gaaib Hon Najdi Maula Nikalo
Jaldi Nikalo Inhein Jaldi Nikalo

Ye Noori Muztar Tera Sanaagar
Aur Iska Ghar Bhar Ho Haazir-E-Darr
Apne Gadaagar Ko Darr Par Bula Lo
Amn O Aman Se Hamein Sarwar Bula Lo

A’marona A’malona

$
0
0

A’marona A’malona Lyrics

By: Maher Zain


كلمات أغنية “أعمارنا أعمالنا”:

قبل منامي مرَّ ببالي وَحْيُ سؤال
لو أنّ لعمري ميزانًا، ما المكيال ؟
أيُقاسُ العمرُ بأيامٍ أَمْ أعوام ؟
فتأمّلتُ، جلستُ أفكّرُ فيما يُذكر حينَ يُقال

رَحِمَ الله فلان
كانَ و كانَ و كان
لن تُذكرَ إلاّ الأعمال

أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا..
أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا آثارُنا

لن أنتظرَ الفرصة َحتى ترأَفَ بي
بل أَصنعُها بالإصرارِ الملتهِبِ
لن أَقضيَ وقتي باللَّومِ و بالعَتَبِ
فكثيرٌ مرُّوا و قليلٌ ممَّن ذُكروا حينَ يُقال

رَحِمَ الله فلان
كانَ و كانَ و كان
لن تُذكرَ إلاّ الأعمال

أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا..
أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا آثارُنا

أعمارُنا أعمالُنا

ما أجملَ أن تحيا عمرًا غالٍ و ثمينْ
بعطائِكَ تَسْمو أيّامُكَ تَزْدانُ سنينْ
لا تَسَلْ الأيامَ متى أبدأُ بالتغييرْ
الآنَ الآنَ فخيرُ الوقتِ الآنَ يحينْ
بادِرْ واستَبِقْ الخيرَ ستَسعدُ ذاك يقينْ

أعمارُنا أعمالُنا
أعمارُنا أعمالُنا

أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا..
أعمارُنا أعمالُنا
و بها سَمَتْ أسماؤُنا
نمضي و تبقى هاهنا…
هاهنا آثارُنا

أداء الفنان : ماهر زين
كلمات وألحان : سيف فاضل
توزيع : أحمد الرضوان

Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The

$
0
0

Kankar Se Kalma Parhwao Phir Kehna Hum Jaise The Lyrics


Kankar Se Kalma Padhwao Phir Kehna Hum Jaise The
Doobey Suraj Ko Lautao Phir Kehna Hum Jaise The

Tum Bhi Zara Meraj Ko Jao Phir Kehna Hum Jaise The
Jao Namaze Lekar Aao Phir Kehna Hum Jaise The

Lohe Se Talwar Banana Aam Hai Duniya Main Lekin
Tehni Ko Talwar Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Peshani Par Daagh Banana Koi Mushkil Kaam Nahi
Nakshe Qadam Pathar Par Banao Phir Kehna Hum Jaise The

Bamo Daro Dewar Salami Dene Lage Kuch Aisa Karo
Ped Ko Apne Paas Bulao Phir Kehna Hum Jaise The

Uper Jaana Neeche Aana Ye To Bashar Ki Taaqat Hai
Sayr E Jannat Kar Ke Dikhao Phir Kehna Hum Jaise The

Sarwar E Dee Ki Baat Badi Hai Chodon In Sab Baaton Ko
Unke Ghulamon Se Banjao Phir Kehna Hum Jaise The

Unki Har Ik Ungli Se Tha Jaari Chasma Ay Kaleem
Pani Un Pyason Ko Pilao Phir Kehna Hum Jaise The

Marhaba Ya Mustafa

$
0
0

Marhaba Ya Mustafa Lyrics


Marhaba, Ya Mustafa
Greetings! O Mustafa
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Aye Habib-e-Khuda
O,Beloved of Allah
Ahmad-e-Mujtaba
Praiseworthy of being the chosen one

Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Sooraj ka uthna, Chand chamakana
The rising sun and the illuminated moon
Hai aap se
Possess your radiance
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Fiza mein thandak, Phool mehekna
The coolness in the breeze, the fragrance in the flower
Hai aap se
Possess your essence
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Saara sadhkha aap ka, Saara sadhkha aap ka
The world was blessed due to your presence
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Marhaba, Ya Mustafa
Greetings! O Mustafa
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you
Salallahu-alaihi-wa-sallam
Peace and blessings be upon you

Viewing all 112 articles
Browse latest View live


Latest Images